100+English Shayari

Delve into the world of emotions with our collection of 100+ English Shayari. These poetic verses beautifully capture the depth of feelings, thoughts, and experiences. From expressing love and longing to reflecting on life’s complexities, these Shayaris resonate with the heart and soul. Whether you seek solace in words or wish to convey your emotions creatively, these verses provide a heartfelt way to express yourself. Immerse yourself in the world of English Shayari and let these words paint a canvas of emotions that speaks to your heart and soul.

English Shayari

Din hua hai to raat bhi hogi,
Ho mat udas kabhi to baat bhi hogi.
Itne pyar se dosti ki hai,
jindagi rahi to mulaqat bhi hogi..

Ek Pehchan Hazaron Dost Bana Deti Hai
Ek Muskaan Hazaron Ghum Bhula Deti Hai
Zindagi Ke Safar Mein Sambhal Kar Chalna
Ek Galti Hazaron Sapne Jala Kar Rakh Deti Hai

Mil jati hai kitno ko khushi,
Mit jate hain kitno ke gum,
Message isliye bhejte hai hum,
Taki na milne se bhi apni dosti na ho kam.

Na dil mein basakar bhulaya karte hain,
Na hasakar rulaya karte hain,
Kabhi mehsoos kar ke dekh lena,
Hum jaise toh dil se rishte nibhaya karte hai.

Din Ki Roshni Khwabon Ko Banane Mein Gujar Gayi,
Raat Ki Neend Bachche Ko Sulane Mein Gujar Gayi,
Jis Ghar Mein Mere Naam Ki Takhti Bhi Nahi Hai,
Saari Umar Uss Ghar Ko Banane Mein Gujar Gayi.

Teri dhadkan hi zindagi ka kissa hai mera,
tu zindagi ka ek ahem hissa hai mera,
ye mohabbat tujhse sirf lafzo ki nahin hai,
teri rooh se rooh tak ka rishta hai mera..!

Sukun apne dilka maine kho diya,
Khud ko tanhai ke samandar mai dubo diya,
Jo thi mere kabhi muskrane ki wajah,
Aaj uski kami ne meri palko ko bhigo diya.

Na milataa gam to barabaadi ke afasaane kahaan jaate,
agar duniyaa hoti chaman to viraane kahaan jaate,
chalo achchhaa huaa apano me koi gair to nikalaa,
sabhi agar apane hote to begaane kahaan jaate!

Hasti Mit jati hai Aashiya Banane Me,
Bahut Muskil hoti hai Aapno Ko Samjane Me,
Ek pal me Kisi Ko bhula na Dena,
Zindagi lag jati hai Kisi Ko Aapna Banane me.

Aap se door ho kar hum jayenge kaha,
Aap jaisa dost hum payenge kaha,
Dil ko kaise bhi sambhal lenge,
Par aankho ke aansu hum chupayege kaha.

Agar Itni Pyari Soch Tumhari Na Hoti, Mulakat Tumse Humari Na Kabhi Hoti, Tadapte Rahte Sachhe Dost Ke Liye, Agar Dosti Tumse Humari Na Hui Hoti

Najron ki juban wo samajh nahi paate, hont hamaare kuch keh nahi pate, dil apni majboori bataaye kese, Koi hy jin ke bina hum reh nahi paate

Ahista ahista aapka yakeen karne lage hain, Ahista ahista aapke kareeb aane lage hain, Dil tho dene se ghabraathe hain, Magar ahista ahista aapke dil ki kadar karne lage hain

Dil Ko Abhi Nahi Ho Raha Hai Ye Aabhass, Dil Na Jaane Aap Ho Kitne Humare Liye Khaas, Dheere Dheere Hoga Apoki Kami Ka Hume Ehsaas, Jab Aap Hume Yaad Aaogi Har Lamha Har Saans

Haste dilo me gham bhi hai, muskurati aankhe kabhi nam bhi hai, dua karte hai aapki hansi kabhi na ruke, kyunki apki muskurahat ke deewane hum bhi hai

Pyar Karnewalo Ki Kismat Kharab Hoti Hai, Har Waqt Inteha Ki Ghari Sath Hoti Hai, Waqt Mile To Rishto Ki Kitab Dekh Lena, Dosti Har Rishte Se Lajawab Hoti Hai

Yaadey Aksar Hoti Hai Sataney Kee Liye, Koi Ruth Jata Hai Firr Maan Jaaney Ke Liye, Rishtey Nibhana Koi Mushkil To Nahin, Bas Dilon Mein Pyar Chaahiye Usse Nibhane Ke Liye

Jaroori Nahin Ke Koi Payar Ki Murat Ho, Sundar Ho Behud Khubsoorat Ho, Sachcha Payar To He Wohi Jo Tub aaap ka Saath the, Jub Aap ko Uski Jarurat Ho

Mujhey Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye, Tanha Hei Mera Haath Tera Saath Chahiye, Janun E Ishq Ko Teri Hi Sogaat Chahiye, Mujhey Jeeney K Liey Tera Hi Saath Chahiye

Kisi Ko Paas aane Main Waqt lagta Hai, Kisi Ko Apna Bnaney Main Waqt Lagta Hai, Jab Manga Khuda sey apko Usney, Kha anmol Cheez Pane Main Waqt Lagta Hai

Yuhi Kisi ki Yaad Me Rona Fizul Hai, Itne Anmol Aasu Khona Fizul Hai, Rona To Unke Liye Jo Hum Pe Nisar Hai, Unke Liye Kya Rona Jinke Ashiq Hazar Hai

Pyar me jina pyar me mar na, himmat na ho to pyar na kar na, Zindagi nahi humko pyar se pyari, pyaar k liye hi he zindagi hamari

Pyaar Naa Aata Tha Tu ne Sikha Diya, Tadpe Na The Tu ne Tadpa Diya, Udaas Rehne Lage Hein ab Roye Na The Kabhi Tu ne Rula Diya

Nazar ko nazar ki khabar na lage, Koi accha bhi is kadar na lage, Aapko dekha hai bas us nazar se, Jis nazar se aapko nazar na lage

Maana Ki Naseeb Mein Mere Koi Sanam Nahi, Fir Bhi Koi Shikwa Koi Gam Nahi, Tanha The Aur Tanha Jiye Jaa Rahe Hai, Badnasib To Wo Hai Jinke Nasib Mein Hum Nahi

Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi Jo Meri Chahat Ko Mita De, Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke bhula de

Use Bhul Kar Jiya To Kya Jiya, Dam Hai To Use Pakar Dikha, Likh Patthro Par Apne Prem Ki Kahani Aur Sagar Ko Bol Dam Hai To Ise Mita Kar Dikha

Ladki ki Hansi par aur kutte ki Khamosi per kabhi bharosa nahi karna chahiye

Haal e dil ae dilbar hum tujhe kaise kahe, Jo dard hai dil me use kaise sahe, Rone se teri tasveer kahin mit na jaye, par Jab dard hai dil me to ashk kaise na bahen

Kitne Pass Aur Kitne Door Hai Hum, Khuda Janta Hai Ki Kitne Majboor Hai, Hum Saza Ye Hain Ki Mil Nahi Sakte Aapse, Gunah ye Hai Ki Bekasoor Hai Hum

bheegne ka itna hi shauk hai baarish mein, To dekho in aankho mein Baarish to har ek ke liye barasti hai, Lekin yeh aankhe sirf tumhare liye barasti hai

Gahri thi raat lekin hum khoye nahi, Dard bahut tha dil mein lekin hum roye nahi, Koi nahi hamara jo puchhe humse, Jag rahe ho kisi ke liye ya kisi ke liye soye hi nahi

Kya mila pyar mein zindagi ke liye, Roz aansoo piye hai kisi ke liye, Wo to gairon mein khushiyan manate rahe, Hum tadapte rahe ek hansi ke liye

Tumko chupa rakha hai in palkon mein, par inko yeh batana nahi aaya, sote mein bhi jag jati palkein meri, palkon ko abhi tak dard chhupana nahi aaya

Meri khushi ko lauta de koi, Mere hontho se muskura de koi, Dard bohat hai meri zindagi mein, Dawa ban kar is dard ko mita de koi

Leave a Comment