Embrace the depth of emotions and find solace in our collection of 100+ Tears Shayari. These heartfelt verses beautifully capture the essence of tears, expressing the pain, longing, and vulnerability that come with shedding tears. Let the power of words provide an outlet for your emotions and offer comfort in times of sorrow. From melancholic expressions to words of resilience and hope, our Tears Shayari collection reflects the profound beauty of tears. Explore our collection and let these verses resonate with your soul, offering solace and understanding in moments of both joy and sadness.
Tears Shayari
राह तकते हुए जब थक गई मेरी आँखें,
फिर तुझे ढूढ़ने मेरी आँख के आँसू निकले।
Raah Takte Huye Jab Thak Gayi Meri Aankhein,
Fir Tujhe Dhoondne Meri Aankh Ke Aansoo Nikle.
मुझे मालूम है तुमने बहुत बरसात देखी है,
मगर मेरी इन्हीं आँखों से सावन हार जाता है।
Mujhe Maloom Hai Tumne Bahut Barsaat Dekhi Hai,
Magar Meri Inhi Aankhon Se Sawan Haar Jaata Hai.
तैयार रहते हैं आँसू मेरी पलकों पे अक्सर,
तेरी यादों का कोई वक़्त मुक़र्रर जो नहीं है।
Taiyar Rehte Hain Aansoo Meri Palkon Pe Aksar,
Teri Yaadon Ka Koi Waqt Muqarrar Jo Nahi Hai.
हमें क्या पता था ये मौसम यूँ रो पड़ेगा,
हमने तो आसमां को बस अपनी दास्ताँ सुनाई है।
Humein Kya Pata Tha Ye Mausam Yoon Ro Padega,
Humne To Aasmaan Ko Bas Apni Dastaan Sunayi Hai.
आँसू कभी पलकों पर बहुत देर नहीं रुकते,
उड़ जाते हैं पंछी जब शाख़ लचकती है।
Aansoo Kabhi Palkon Par Bahut Der Nahi Rukte,
Ud Jate Hain Panchhi Jab Shaakh Lachakti Hai.
आँखों में आँसुओं की लकीर बन गयी,
जैसी चाही थी वैसी ही तकदीर बन गयी,
हमने तो चलाई थीं रेत में उँगलियाँ,
गौर से देखा तो आपकी तस्वीर बन गयी।Aankhon Mein Aansuon Ki Lakeer Ban Gayi,
Jaisi Chaahi Thi Waisi Hi Takdeer Ban Gayi,
Humne To Chalayi Thi Ret Mein Ungliyan,
Gaur Se Dekha To Aapki Tasvir Ban Gayi.
हर एक मुस्कुराहट मुस्कान नहीं होती,
नफरत हो या मोहब्बत आसान नहीं होती,
आँसू ख़ुशी और ग़म के होते हैं एक जैसे,
इन आँसुओं की कोई पहचान नहीं होती।Har Ek Muskurahat Muskan Nahi Hoti,
Nafrat Ho Ya Mohabbat Aasaan Nahi Hoti,
Aansoo Khushi Aur Gham Ke Hote Hain Ek Jaise,
Inn Aansuon Ki Koi Pehchaan Nahi Hoti.
प्यास इतनी है मेरी रूह की गहराई में,
अश्क़ गिरता है तो दामन को जला देता है।
Pyaas Itni Hai Meri Rooh Ki Gehrayi Mein,
Ashq Girta Hai To Daaman Ko Jala Deta Hai.
कम नहीं हैं आँसू मेरी आँखों में मगर,
रोता नहीं कि उनमें उसकी तस्वीर दिखती है।
Kam Nahi Hain Aansoo Meri Ankhon Mein Magar,
Rota Nahi Ke Unme Uski Tasveer Dikhti Hai.
बहना कुछ अपनी चश्म का दस्तूर हो गया,
दी थी खुदा ने आँख पर नासूर हो गया।
Bahna Kuchh Apni Chashm Ma Dastoor Ho Gaya,
Dee Thi Khuda Ne Aankh Par Nasoor Ho Gaya..
ये सानेहा भी मोहब्बत में बार-हा गुजरा,
कि उस ने हाल भी पूछा तो आँख भर आई।
Ye Saaneha Bhi Mohabbat Mein Baar-Ha Gujra,
Ke Usne Haal Bhi Poochha To Aankh Bhar Aayi
जिसे ले गई है अभी हवा
वो वरक़ था दिल की किताब का,
कहीं आँसुओं से मिटा हुआ
कहीं आँसुओं से लिखा हुआ।
Jise Le Gayi Hai Abhi Hawa,
Wo Warq Tha Dil Ki Kitaab Ka,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Kahin Aansuon Se Likha Hua.
Aansoo Shayari
तेरे ना होने से ज़िन्दगी में
बस इतनी सी कमी रहती है,
मैं लाख मुस्कुराऊँ फिर भी
इन आँखों में नमी रहती है।
Tere Na Hone Se Zindagi Mein
Bas Itni Si Kami Rehti Hai,
Main Lakh Muskuraaun Fir Bhi
Inn Aankhon Mein Nami Rehti Hai.
खामोश रहने दो लफ़्ज़ों को,
आँखों को बयाँ करने दो हकीकत,
अश्क़ जब निकलेंगे झील के,
मुक़द्दर से जल जायेंगे अफसाने।
Khamosh Rehne Do Lafzon Ko,
Aankhon Ko Bayaan Karne Do Hakiqat,
Ashq Jab Niklenge Jheel Ke,
Muqaddar Se Jal Jayenge Afsane.
हँसने की जुस्तजू में दबाया जो दर्द को,
आँसू हमारी आँख में पत्थर के हो गए।
Hasne Ki Justju Mein Dabaaya Jo Dard Ko,
Aansoo Humari Aankh Mein Patthar Ke Ho Gaye.
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं,
आँखों में आँसू आयें ये जरूरी तो नहीं।
Rone Wale To Dil Mein Hi Ro Lete Hain,
Aankho Mein Aansoo Aayein Ye Jaroori To Nahi.
लिखना तो था कि खुश हूँ तेरे वगैर भी,
आँसू मगर कलम से पहले ही गिर पड़े।
Likhna To Tha Ki Khush Hoon Tere Bagair Bhi,
Aansoo Magar Kalam Se Pehle Hi Gir Pade.
सोचा ही नहीं था ज़िन्दगी में
ऐसे भी फसाने होंगे,
रोना भी जरुरी होगा
आँसू भी छुपाने होंगे।
Socha Hi Nahi Tha Zindagi Mein
Aise Bhi Fasaane Honge,
Rona Bhi Jaroori Hoga
Aansoo Bhi Chhupane Honge.
साथ बिताई तेरे संग वो
शाम सुहानी जिंदा है,
होंठ भले ही सूखे हों
पर आँख में पानी जिंदा है।
Saath Bitaai Tere Sang Wo
Shaam Suhaani Zinda Hai,
Honthh Bhale Hi Sookhe Hon
Par Aankh Mein Paani Zinda Hai.
जिनके प्यार बिछड़े हैं
उनका सुकून से क्या ताल्लुक़,
उनकी आँखों में नींद नहीं
आँसू आया करते है।
Jinke Pyar Bichhade Hain
Unka Sukoon Se Kya Talluq,
Unki Aankhon Mein Neend Nahi
Aansoo Aaya Karte Hain.
दो चार आँसू ही आते हैं पलकों के किनारे पे,
वर्ना आँखों का समंदर गहरा बहुत है।
Do Chaar Aansoo Hi Aate Hain Palkon Ke Kinare Pe,
Varna Aankhon Ka Samandar Gehra Bahut Hain.
वो अश्क़ बन के मेरी चश्म-ए-तर में रहता है,
अजीब शख़्स है पानी के घर में रहता है।
Wo Ashq Ban Ke Meri Chashm-e-Tar Mein Rehta Hai.
Ajeeb Shakhs Hai Paani Ke Ghar Mein Rehta Hai.
अश्क़ ही मेरे दिन हैं अश्क़ ही मेरी रातें,
अश्क़ों में ही घुली हैं वो बीती हुयी बातें।
Ashq Hi Mere Din Hain Ashq Hi Meri Raatein,
Ashqon Mein Hi Ghuli Hain Wo Beeti Huyi Baatein.
किसी को बताने से मेरे अश्क़ रुक न पायेंगे,
मिट जायेगी ज़िन्दगी मगर ग़म धुल न पायेंगे।
Kisi Ko Bataane Se Mere Ashq Ruk Na Payenge,
Mit Jayegi Zindagi Magar Gham Dhul Na Payenge.
क्या कहूँ दीदा-ए-तर ये तो मेरा चेहरा है,
संग कट जाते हैं बारिश की जहाँ धार गिरे।
Kya Kahoon Deeda-e-Tar Ye To Mera Chehra Hai,
Sang Kat Jaate Hain Barish Ki Jahan Dhaar Gire.
आँसू भी मेरी आँख के अब खुश्क हो गए,
तू ने मेरे खुलूस की कीमत भी छीन ली।
Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Khushk Ho Gaye,
Tu Ne Mere Khuloos Ki Keemat Bhi Chheen Li.
बारिशें हो ही जाती हैं शहर में फ़राज़,
कभी बादलों से तो कभी आँखों से।
Baarishein Ho Hi Jaati Hain Shahar Mein Faraz,
Kabhi Badalon Se… To Kabhi Aankhon Se.
चैन मिलता था जिसे आके पनाहों में मेरी,
आज देता है वही अश्क़ निगाहों में मेरी।
Chain Milta Tha Jise Aake Panaahon Mein Meri,
Aaj Deta Hai Wahi Ashq Nigaahon Mein Meri.
देख सकता है भला कौन ये प्यारे आँसू,
मेरी आँखों में न आ जाएँ तुम्हारे आँसू।
Dekh Sakta Hai Bhala Kaun Ye Pyare Aansoo,
Meri Ankhoon Mein Na Aa Jayein Tumhare Aansoo.
हमें आँसुओं से ज़ख्मों को धोना नहीं आता,
मिलती है ख़ुशी तो उसे खोना नहीं आता,
सह लेते हैं हर ग़म को जब हँसकर हम,
तो लोग कहते है कि हमें रोना नहीं आता।Humein Aansuon Se Zakhmon Ko Dhona Nahi Aata,
Milti Hai Khushi To Use Khona Nahi Aata,
Seh Lete Hain Har Gham Ko Jab Hans Kar Hum,
To Log Kehte Hain Ke Humein Rona Nahi Aata.
क्या आये तुम जो आये घड़ी दो घड़ी के बाद,
सीने में होगी साँस अड़ी दो घड़ी के बाद,
क्या रोका अपने गिर्ये को हम ने कि लग गयी,
फिर वही आँसुओं की झड़ी दो घड़ी के बाद।Kya Aaye Tum Jo Aaye Ghadi Do Ghadi Ke Baad,
Seene Mein Hogi Saans Atki Do Ghadi Ke Baad,
Kya Roka Apne Giriye Ko Hum Ne Ke Lag Gayi,
Fir Wahi Aansuon Ki Jhadi Do Ghadi Ke Baad.
इनको न कभी आँख से गिरने देता हूँ,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।
Inko Na Kabhi Aankh Se Girne Deta Hoon,
Unko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyare Aansoo.
वापसी का सफ़र अब न मुमकिन होगा,
हम निकल चुके हैं आँख से आँसू की तरह।
Waapasi Ka Safar Ab Na Mumkin Hoga,
Hum Nikal Chuke Hain Aankh Se Aansoo Ki Tarah.
जब भी गुजरे हुए लम्हों की याद आएगी,
होंठ सी लूँगा मगर आँख तो भर आएगी।
Jab Bhi Gujre Hue Lamhon Ki Yaad Aayegi,
Honthh See Lunga Magar Aankh To Bhar Aayegi.
Ashq Shayari
एक आह पे मेरी गिरते थे जिनके हजारो आँसू,
आज वो भी मेरे ज़ख्मों पे मुस्कुराने लगे।
Ek Aah Pe Meri Girte The Jinke Hajaaro Aansoo,
Aaj Wo Bhi Mere Zakhmon Pe Muskurane Lage
अभी से क्यों छलक आये तुम्हारी आँख में आँसू,
अभी छेड़ी कहाँ है दास्तान-ए-ज़िन्दगी मैंने।
Abhi Se Kyun Chhalak Aaye Tumhari Aankh Mein Aansoo,
Abhi Chhedi Kahan Hai Daastaan-e-Zindagi Maine.
जिस तरह हँस रहा हूँ मैं पी पी के गर्म अश्क़.
यूँ कोई दूसरा हँसे तो कलेजा निकल पड़े।
Jis Tarah Hans Raha Hoon Main Pee Pee Ke Garm Ashq,
Yoon Koi Doosra Hanse To Kaleja Nikal Pade.
जब लफ्ज़ थक गए तो फिर आँखों ने बात की,
जो आँखें भी थक गईं तो अश्क़ों से बात हुई।
Jab Lafz Thak Gaye To Phir Aankhon Ne Baat Ki,
Jo Aankhein Bhi Thak Gayin To Ashqon Se Baat Hui.
शायद तू कभी प्यासा फिर मेरी तरफ लौट आये,
आँखों में लिए फिरता हूँ दरिया तेरी खातिर।
Shayad Tu Kabhi Pyasa Phir Meri Taraf Laut Aaye,
Aankhon Mein Liye Firta Hoon Dariya Teri Khatir.
टपक पड़ते हैं आँसू जब तुम्हारी याद आती है,
ये वो बरसात है जिसका कोई मौसम नहीं होता।
Tapak Padte Hain Aansoo Jab Tumhari Yaad Aati Hai,
Ye Wo Barsaat Hai Jis Ka Koi Mausam Nahi Hota.
कौन कहता है कि आँसुओं में वज़न नहीं होता,
एक भी छलक जाए तो मन हल्का हो जाता है।
Kaun Kehta Hai Ke Aashuon Mein Wajan Hai Hota,
Ek Bhi Chhalak Jaye To Man Halka Ho Jata Hai.
वो इस तरह मुस्कुरा रहे थे,
जैसे कोई गम छुपा रहे थे,
बारिश में भीग के आये थे मिलने,
शायद वो आँसू छुपा रहे थे।Wo Iss Tarah Muskura Rahe The,
Jaise Koi Gham Chhupa Rahe The,
Barish Mein Bheeg Ke Aaye The Milne,
Shayad Wo Aansoo Chhupa Rahe The.
वो नदियाँ नहीं आँसू थे मेरे,
जिस पर वो कश्ती चलाते रहे,
मंजिल मिले उन्हें यह चाहत थी मेरी,
इसलिए हम आँसू बहाते रहे।Wo Nadiyan Nahi Aansoo The Mere,
Jis Par Wo Kashti Chalaate Rahe,
Manzil Mile Unhein Ye Chahat Thi Meri,
Isliye Hum Aansoo Bahaate Rahe.
सदियों बाद उस अजनबी से मुलाकात हुई,
आँखों ही आँखों में चाहत की हर बात हुई,
जाते हुए उसने देखा मुझे चाहत भरी निगाहों से,
मेरी भी आँखों से आँसुओं की बरसात हुई।Sadiyon Baad Uss Ajnabi Se Mulakaat Huyi,
Aankhon Hi Aankho Mein Chaahat Ki Har Baat Huyi,
Jaate Huye Usne Dekha Mujhe Chaahat Bhari Najron Se,
Meri Bhi Aankhon Se Aansuon Ki Barsaat Huyi.
भर आई मेरी आँखे जब उसका नाम आया,
इश्क़ नाकाम सही फिर भी बहुत काम आया,
हमने मोहब्बत में ऐसी भी गुजारी कई रातें,
जब तक आँसू ना बहे दिल को आराम न आया।Bhar Aayi Meri Aankhein Jab Uska Naam Aaya,
Ishq Nakaam Sahi Fir Bhi Bahut Kaam Aaya,
Humne Mohabbat Mein Aisi Bhi Gujaari Kayi Raatein,
Jab Tak Aansoo Na Bahe Dil Ko Aaram Na Aaya.
पलकों से अश्क़ गिरा है तो उसे गिरने दो,
सीने में कोई पुरानी तमन्ना पिघल रही होगी।
Palkon Se Ashq Gira Hai To Usey Girne Do,
Seen Mein Koi Puraani Tamanna Pighal Rahi Hogi.
वापसी का सफर अब मुमकिन न होगा।
हम तो निकल चुके हैं आँख से आँसू की तरह।
Waapsi Ka Safar Ab Mumkin Na Hoga,
Hum To Nikal Chuke Hain Aankh Se Aansoo Ki Tarah.
जो हैरान है मेरे सब्र पर उनसे कह दो,
जो आँसू जमीं पर नहीं गिरते दिल चीर जाते हैं।
Jo Hairan Hain Mere Sabr Par Unse Kah Do,
Jo Aansoo Zamin Par Nahi Girte Dil Cheer Dete Hain.
मुझको रुला कर दिल उसका रोया तो होगा,
उसकी आँखों में भी आँसू आया तो होगा,
अगर न किया कुछ भी हासिल हमने प्यार में,
कुछ न कुछ उसने भी खोया तो होगा।Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
Uski Aankho Mein Bhi Aansoo Aaya To Hoga,
Agar Na Kiya Kuchh Haasil Hamne Pyar Mein,
Kuchh Na Kuchh Usne Bi Khoya To Hoga.
हर बात पर नम हो जाती हैं आँखें अक्सर,
जहाँ भर के अश्क़ खुदा पलकों में रख बैठा।
Har Baat Par Nam Ho Jati Hain Aankhein Aksar,
Jahan Bhar Ke Ashq Khuda Palkon Mein Rakh Baithha.
मेरे ख्यालों में वही सपनो में वही,
लेकिन उनकी यादों में हम थे ही नहीं,
हम जागते रहे दुनिया सोती रही,
एक बारिश ही थी जो हमारे साथ रोती रही।Mere Khyalon Mein Wahi Sapano Mein Wahi,
Lekin Unki Yaadon Mein Hum The Hi Nahi,
Hum Jaagte Rahe Duniya Soti Rahi,
Ek Baarish Hi Thi Jo Humare Sath Roti Rahi.
अश्क़ से आज आँखों में क्यों हैं आये हुए,
गुजर गया है ज़माना तुझे भुलाये हुए।
Ashq Se Aaj Aankhon Mein Kyun Hain Aaye Hue,
Gujar Gaya Hai Zamana Tujhe Bhulaye Hue.तू इश्क की दूसरी निशानी दे दे मुझको,
आँसू तो रोज गिर कर सूख जाते हैं।
Tu Ishq Ki Doosari Nishani De De Mujhko,
Aansoo To Roj Gir Ke Sookh Jate Hain.
मेरे दिल में न आओ वर्ना डूब जाओगे,
ग़म के आँसू का समंदर है मेरे अन्दर।
Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaaoge Tum,
Gham Ke Aansoo Ka Samandar Hai Mere Andar.
पिरो दिये मेरे आँसू हवा ने शाखों में,
भरम बहार का बाकी रहा आँखों में।
Piro Diye Mere Aansoo Hawa Ne Shaakhon Mein,
Bharam Bahaar Ka Baaki Raha Aankhon Mein.
बारिशें कुछ इस तरह से होती रहीं मुझ पे,
ख्वाहिशें सूखती रहीं और पलकें भीगती रहीं।Baarishen Kuchh Is Taarah Se Hoti Rahin Mujh Pe,
Khwahishen Sookhati Rahin Aur Palkein Bheegti Rahin.
क्या लिखूं दिल की हकीकत आरजू बेहोश है,
खत पे आँसू गिर रहे हैं और कलम खामोश है।Kya Likhu Dil Ki Haqeeqat Aarzoo Behosh Hai,
Khat Pe Aansoo Gir Rahe Hain Aur Kalam Khamosh Hai.
देख उनको चश्म-ए-नम मैं खुश हुआ हूँ आज यूँ,
है अभी उम्मीद-ए-उल्फत कायम अपने दरमियां ।Dekh Unko Chashm-e-Nam Main Khush Hua Hoon Aaj Yoon,
Hai Abhi Ummeed-e-Ulfat Kayam Apne Darmiyaan.
वहाँ से पानी की एक बूँद भी न निकली,
तमाम उम्र जिन आँखों को झील लिखते रहे।
Wahan Se Paani Ki Ek Boond Bhi Na Nikli,
Tamaam Umr Jin Aankhon Ko Jheel Likhte Rahe.
पलकों के बंध तोड़ के दामन पे गिर गया,
एक अश्क़ मेरे ज़ब्त की तौहीन कर गया।
Palkon Ke Bandh Torh Ke Daaman Pe Gir Gaya,
Ek Ashk Mere Zabt Ki Tauheen Kar Gaya.
इत्तेफाक़ समझो या मेरे दर्द की हकीक़त,
आँख जब भी नम हुई वजह तुम ही निकले।
Ittefaq Samjho Ya Mere Dard Ki Hakeeqat,
Aankh Jab Bhi Nam Huyi Wajah Tum Hi Nikle.
ना जाने आखिर इन आँसुओं पे क्या गुजरी,
जो दिल से आँख तक आये मगर बह ना सके।
Na Jaane Aakhir Inn Aansuon Par Kya Gujri,
Jo Dil Se Aankh Tak Aaye Magar Beh Na Sake.
आया ही था खयाल कि आँखें छलक पड़ीं,
आँसू किसी की याद के कितने करीब हैं।
Aaya Hi Tha Khyal Ke Aankhein Chhalak Padi,
Aansoo Kisi Ki Yaad Ke Kitne Kareeb Hain.
तुम्हारी याद में आँसू बहाना
यूँ भी जरूरी है,
रुके दरिया के पानी को तो
प्यासा भी नहीं छूता।
Tumhari Yaad Mein Aansoo Bahana
Yoon Bhi Jaroori Hai,
Ruke Dariya Ke Paani Ko To
Pyasa Bhi Nahi Chhuta.
निकल जाते हैं तब आँसू
जब उनकी याद आती है,
जमाना मुस्कुराता है
मोहब्बत रूठ जाती है।
Nikal Jaate Hain Tab Aansoo
Jab Unki Yaad Aati Hai,
Zamana Muskurata Hai
Mohabbat Roothh Jati Hai.
सदफ की क्या हकीकत है
अगर उसमें न हो गौहर,
न क्यों कर आबरू हो
आँख की मौकूफ आँसू पर।
Sadaf Ki Kya Hakeeqat Hai
Agar Usmein Na Ho Gauhar,
Na Kyun Kar Aabroo Ho
Aankh Ki Maukoof Aansoo Par.
प्यार कर के कोई जताए ये जरूरी तो नहीं,
याद कर के कोई बताये ये जरूरी तो नहीं,
रोने वाले तो दिल में ही रो लेते हैं अपने,
कभी आँख में आँसू आये जरूरी तो नहीं।Pyar Kar Ke Koyi Jataye Ye Jaroori To Nahi,
Yaad Kar Ke Koyi Bataye Ye Jaruri To Nahi,
Rone Wale To Dil Mein Hi Ro Lete Hain Apne,
Kabhi Aankh Mein Aansoo Aaye Jaruri To Nahi.
Jo Aansoo Dil Mein Girte Hain
Woh Aankhon Mein Nahi Hote,
Bahut Se Harf Aise Hote Hain
Jo Lafzon Mein Nahi Rahte,
Kitaabon Mein Likhe Jate Hain
Duniya Bhar Ke Afsaane,
Magar Jin Mein Hakiqat Ho
Kitaabon Mein Nahi Rahte.जो आँसू दिल में गिरते हैं
वो आँखों में नहीं होते,
बहुत से हर्फ़ ऐसे होते हैं
जो लफ़्ज़ों में नहीं रहते,
किताबों में लिखे जाते हैं
दुनिया भर के अफ़साने,
मगर जिन में हकीकत हो
किताबों में नहीं रहते।
न जाने कौन सा आँसू मेरा राज़ खोल दे,
हम इस ख़्याल से नजरें झुकाए बैठे हैं।
Na Jaane Kaun Sa Aansoo Mera Raaz Khol De,
Hum Is Khayal Se Najrein Jhukaye Baithhe Hain.
फिर आज आँसुओं में नहाई हुई है रात,
शायद हमारी तरह ही सताई हुई है रात।
Fir Aaj Aansuon Mein Nahayi Huyi Hai Raat,
Shayad Humari Tarah Hi Sataayi Huyi Hai Raat.
तेरी मुस्कराहट तेरे कहकहे किसी और के थे,
जो तेरी आँखों से था टपका वो मैं था।
Teri Muskurahat Tere Kah-Kahe Kisi Aur Ke The,
Jo Teri Aankho Se Tha Tapka, Wo Main Tha.
मेरी आँखों में आँसू नहीं कुछ नमी है,
वजह तू नहीं बस तेरी ये कमी है।
Meri Aabkhon Mein Aansoo Nahi Kuchh Nami Hai,
Wajah Tu Nahi Bas Teri Ye Kami Hai.
आ देख मेरी आँखों के ये भीगे हुए मौसम,
ये किसने कह दिया कि तुझे भूल गये हम।
Aa Dekh Meri Aankhon Ke Ye Bheege Huye Mausam,
Ye Kisne Keh Diya Ke Tujhe Bhool Gaye Hum.
इतना तो ज़िन्दगी में किसी की खलल पड़े,
हँसने से हो सुकून ना रोने से कल पड़े,
मुद्दत के बाद उसने जो की प्यार की निगाह,
जी खुश तो हो गया मगर आँसू निकल पड़े।Itna To Zindagi Na Kisi Ki Khalal Pade,
Hasne Se Ho Sukoon Na Rone Se Kal Pade,
Muddat Ke Baad Usne Jo Kee Pyar Ki Nigaah,
Jee To Khush Ho Gaya Magar Aansoo Nikal Pade.
जो आँसू आँख से अचानक निकल पड़ें,
वजह उनकी ज़बान से बयां नहीं होती।
Jo Aansoo Aankh Se Achanak Nikal Padein,
Wajah Unki Jubaan Se Bayaan Nahin Hoti.
देगा अगर दर्द तो खुद भी डूबेगा,
वो एक शख्स जो आँखों में रहता है।
Dega Agar Dard Toh Khud Bhi Doobega,
Wo Ek Shakhs Jo Ankhon Mein Rahta Hai.
अजीब कहर पड़ा अब के साल अश्कों का,
कि आँख तर ना हुई खूं में नहा कर भी।
Ajeeb Qahar Pada Ab Ke Saal Ashqon Ka,
Ke Aankh Tar Na Hui Khoon Se Nahakar Bhi.
उस अश्क की तासीर से अल्लाह बचाये,
जो अश्क आँखों में रहे और न बरसे।
Uss Ashq Ki Taseer Se Allah Bachaaye,
Jo Ashq Aankhon Mein Rahe Aur Na Barse.
Ghaas Mein Jazb Huye Honge Zamin Ke Aansoo,
Paanv Rakhta Hun Toh Halki Si Nami Lagti Hai.
घास में जज़्ब हुए होंगे ज़मीं के आँसू
पाँव रखता हूँ तो हल्की सी नमी लगती है।
Usne Bas Yoon Hi Udaasi Ka Sabab Puchha Tha,
Meri Aankhon Mein Simat Aaye Samandar Saare.
उसने बस यूँ ही उदासी का सबब पूछा था,
मेरी आँखों में सिमट आये समंदर सारे।
Kaash Aansuon Ke Saath Yaadein Bhi Beh Jati,
To Ek Din Tasalli Se Baith Kar Ro Lete.
काश आँसुओ के साथ यादें भी बह जाती,
तो एक दिन तसल्ली से बैठ कर रो लेते।
Uska Aks Aankhon Mein Iss Kadar Basa Hai,
Barson Bahe Aansoo Magar Tasveer Na Dhuli.
उसका अक्स आँखों में इस कदर बसा है,
बरसों आँसू बहे मगर तसवीर न धुली।
आँसू मेरे देखकर तू परेशान क्यों है ऐ दोस्त,
ये वो अल्फाज हैं जो जुबान तक आ न सके।
Aansoo Mere Dekh Kar Kyun Pareshan Hai Ai Dost,
Ye Wo Alfaz Hain Jo Jubaan Tak Na Aa Sake.
इनको न कभी आँख से गिरने देता हूँ मैं,
उनको लगते हैं मेरी आँख में प्यारे आँसू।
Inko Kabhi Aankh Se Girne Nahi Deta Hun Main,
Usko Lagte Hain Meri Aankh Mein Pyare Aansoo.
बहुत अजीब हैं तेरे बाद की ये बरसातें भी,
हम अक्सर बन्द कमरे में भीग जाते हैं।
Bahut Ajeeb Hain Tere Baad Ki Ye Barsaatein Bhi,
Hum Aksar Band Kamron Mein Bheeg Jaate Hain.
क्या दुख है समंदर को बता भी नहीं सकता,
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता।
Kya Dukh Hai Samandar Ko Bata Bhi Nahi Sakta,
Aansoo Ki Tarah Aankh Tak Aa Bhi Nahi Sakta.
एक तमन्ना जगी है इस मायूस दिल में आज,
आँसू के साथ हर एक ख्वाब भी बह जाए।
Ek Tamanna Jagi Hai Iss Mayoos Dil Mein Aaj,
Aansoo Ke Saath Har Ek Khwahish Bhi Beh Jaaye.
मेरे दिल में न आओ वरना डूब जाओगे,
ग़म के आँसू के सिवा कुछ नहीं इसके अंदर,
अगर एक बार रिसने लगा जो पानी,
तो कम पड़ जायेगा भरने के लिए समंदर।Mere Dil Mein Na Aao Varna Doob Jaoge,
Gham Ke Aansoo Ke Siwa Kuchh Nahi Iske Andar,
Agar Ek Baar Risne Laga Aankhon Se Paani,
To Kam Pad Jayega Bharne Ke Liye Samandar.
सलीका हो अगर भीगी हुई आँखों को पढ़ने का,
तो फिर बहते हुए आँसू भी अक्सर बात करते हैं।
Saleeka Ho Agar Bheegi Hui Aankhon Ko Parhne Ka,
To Fir Behte Hue Aansoo Bhi Aksar Baat Karte Hain.
प्यास बुझ जाये ज़मीं सब्ज़ हो मंज़र धुल जाये,
काम क्या-क्या न इन आँखों की तरी आये है।
Pyaas Bujh Jaye Zamin Sabz Ho Manzar Dhul Jaye,
Kaam Kya-Kya Na Inn Aankhon Ki Tari Aaye Hai.
क्यूँ बदला हुआ है आज मेरे आँसुओ का रंग,
क्या दिल के ज़ख्म का कोई टाँका उधड़ गया।
Kyun Badla Hua Sa Hai Aaj Mere Aansuon Ka Rang,
Kya Dil Ke Zakhm Ka Koi Taanka Udhad Gaya.
लगता है मैं भूल चुका हूँ मुस्कुराने का हुनर,
कोशिश जब भी करता हूँ आँसू आ ही जाते हैं।
Lagta Hai Main Bhool Chuka Hu Muskarane Ka Hunar,
Koshish Jab Bhi Karta Hoon Aansoo Aa Hi Jate Hain.
मेरा शहर तो बारिशों का घर ठहरा,
यहाँ आँख हों या बादल बहुत बरसते हैं।
Mera Shahar To Baarishon Ka Ghar Thehra
Yahan Aankh Ho Ya Baadal Bahut Baraste Hain.
जाहिर नहीं करता पर मैं रोज रोता हूँ,
शहर का दरिया मेरे घर से निकलता है।
Jaahir Nahi Karta Par Main Roj Rota Hoon,
Shahar Ka Dariya Mere Ghar Se Nikalta Hai.
आँखों में कौन आ के इलाही निकल गया,
किस की तलाश में मेरे अश्क़ रवां चले।
Aankhon Mein Kaun Aake ilaahi Nikal Gaya,
Kis Ki Talash Mein Mere Ashq Rawaan Chale.
कमजोर हुए अश्कों से घर के दरो-दीवार,
रोने के लिये लेंगे किराए का मकाँ और।
Kamjor Huye Ashqon Se Ghar Ke Dar-o-Deewar,
Rone Ke Liye Lenge Kiraaye Ka Makaan Aur.